Wednesday 6 March 2013

DIL KYA KARE


Mukaddar mein likhi ho khalish jinke,unke aashiyaano mein log nahi baste…

Armaano ki jahan chita jali ho…wahan aksar khushiyon ke fool  nahi khilte…

Basti hain sirf tanhaiyaan aur ranjo-ghum… 

jahan sirf dard ka gumaan hota hai aur reh jati  hain yeh aankhein num..


Roobaroo ho kar koi aapse jab ajnabi ho jaye… 

hasti muskuraati zindagani jab yun hi ruthne lag jaye...

Jab jeene ki bhi koi tamanna na ho… marne ka bhi na ho koi ghum…. 

jab hasne ki bhi koi aarzoo na ho bas rote rahe aksar  yeh man….

fir rota hua koi yun he chhor jaye….to yeh dil kya kare….

tadapta hua tumhe chhor jaye to yeh dil kya kare…




 


Sapne koi tumko dikha kar jab neend se jagaye,

Soti surmai ankhiyon ko jab haqiqat se waakif karaye…

Jab aankhon ke saamne dhoop he dhoop aa jaye… 

Jab khwabon  ke sare rang unmukt gagan mein ud jaaye…

Fir sisakta hua koi yun hi chhor jaye to yeh dil kya kare… 

khule aankhon se koi roshni  le jaye to yeh dil kya kare…


Aapka hokar bhi koi aapse jab aapka na ho paye, 

jab koi har baat pe aapko begano sa ehsas dilaye…

Jiske liye aapne chhori ho yeh puri duniya…

Jiske liye yeh rooh bhi ab kahin bekal hai na….

Fir gira kar koi yun hi chalta chala jaye to yeh dil kya kare… 

Dard mein bhi jab yeh lab muskuraye to yeh dil kya kare...


Mukkadar mein likhi ho tapish jinke, unke dil mom ke hua nahi karte…

Jazbaaton ki jahan arthi uthi ho…wahan aksar khushiyon ke fool khila nahi karte…


 Reh jati  hain bas viraniyaan aur ranjo-ghum… 

jahan sirf barbaadi ka tamasha hota hai aur reh jati  hain yeh aankhein num...

Monday 4 March 2013

Natmastak hun unke samman mein aaj main…



Natmastak hun unke samman mein aaj main…
Hai mujhme  me ek adhbhut umang…
Kho raha is uthhan mein aaj main…
Ho raha hai ek naya aarambh…
Shaam bhi rang liye aayi hai aaj…
Hai hawaon mein kahin wo Jeevan tarang…
Pulkit ho raha is abhimaan mein aaj mein….
Khul raha ek naya adhyay suman…

                                                                                                        Anjani Roshan

Nayi umang liye nayi aashaon ke saath...



Nayi umang liye nayi aashaon ke saath,
Suraj ki laali sanjoye un taazi hawaon  ke saath…
Aaye hain kuch hanste khilkhilate roop…
Jo khud mein hain adwitiya aur badal sakte hain humare is aaj ka praroop…
Hai jinhe chahat kuch haasil karne ki.. 
Hai jinhe  junoon kuch kar guzarne ki..
Hai jinki nigahein us buland shikhar par,
Jise pane ki lalsa mein aksar wo rehte tatpar…
Mastak pe hain jinke adbhut prakash…
Jinki hadein yeh zameen nahi…hai yeh  sampoorn aakash…

Aise saumya,sundar, swaroopon ka hum karte hain abhinandan…
Dil ki gehraiyon se aap sabko kehte hain Swagatam Swagatam Swagatam....

                                                                                                                        - Anjani Roshan




THIS HAD BEEN WRITTEN BY ME FOR AN OFFICIAL EVENT, NATIONAL OMS MEET ,2010 

 

Subah ke chadar mein lipti hui ...



Subah ke chadar mein lipti hui kuch kirnein hain mere paas…
Ose mein lath path darakht ke un patton ki Khushboo hai aas paas…
Hawaon mein ek shor hai… 
fizaon ki baat bhi aaj kuch aur hai………
Aaj hi jaga hun ek sapne se… 
Door tha na jane kab se un apno se…
Suraj ki baahon mein simti hui kuch lamhein hain mere paas…
Aankhon mein kuch jazbaat ke naye ehsaas hain aas paas  …

Kabhi dhumil si lagne wali zindagi , aaj khushaal si lagti hai,
Kahin door ojhal hoti bandagi , aaj nayaab si lagti hai…
Darta hoon un andheron se aaj bhi, khalish unka aaj bhi satata hai…
Sochta hoon  rok loon khud ko ab, wo daastan mujhe aaj bhi yaad aata hai..
Yaadon ke samandar mein doobe hue kuch pal hain mere paas…
 Dhool mitti se jami kuch vaadein hain aas paas…”

Waqt ki chot se ubhar kar kahin, fir se saasein lene ko jee chahta hai….
Bhuli bisri baton ko arpan kar, fir se muskurane ko jee chahta hai….
Daudta nahi main ab, us kati patang ke peeche, wo waqt kuch aur tha…
Ruthta nahi main ab kisi se, wo dard kuch aur tha….
Makhmali aawaz mein lipti hui  kuch sur hain mere paas…..
 Meethaas se bhari kuch purane geet hain aas paas….”


                                                                                                                           Anjani Roshan

Ret ke gharon mein…




Ret ke gharon mein chuppake rakhe the kuch sapne kahin, jo lehron ke saath kahin beh gaye…
Dil ke aashiyaano mein basake rakhe the kuch apne kahin, jo bheed mein kahin kho gaye…

Sukh dukh ke sangraam mein main pista chala gaya …
Jeevan-mrityu ke parinaam mein main ghut-ta chala gaya….
Naseeb ka dosh kahu ise main, ya khud ke kiye ka fal…
sooj boojh ka bodh kho chukka hoon, na koi hai hal…

Tap raha hoon din raat yahan main, glaani ke us aag mein…
Chhup gaya hai rab mera ,main  dhundhta use har aagaz mein..…

Kitne bhi fariyaad kar loon, dekhta na hai koi…
minnaton ka asar bhi ab yahan chalta nahin.
.
Thak gaya hoon chalte chalte, saaya bhi na ab saath hai….
Dil pe chhale se pade hain, kya tujhe ehsas hai….

E- khuda mujhpe rehem kar, ab na seh paunga ghum…
Ruswa na ho is kadar tu, dega kitne ab sitam..

Intezaah tujhse yahi hai… hasne de mujhe bhi kabhi…
Zillaton ke bojh tale mein dhoondta hoon khud ko kahin…
.
Raat ke aagosh mein chuupake rakhe the kuch taare kahin,jo subah ke aane se chhup gaye…
Dil ke jharokhon me basake rakhe the khubsurat lamhein kai, jo haalaton ke toofan mein kahin kho gaye…

Ret ke gharon mein chuppake rakhe the kuch sapne kahin…jo lehron ke saath kahin beh gaye…
Dil ke aashiyaano mein basake rakhe the kuch apne kahin…jo bheed mein kahin kho gaye…
                                                                                                                                                              Anjani Roshan

Saturday 2 March 2013

Beintehaah tujhse main mohabbat karta hun...

Benam raston pe badhti ja rahi thi yeh zindagi...
Na manzil ka pata tha...
Na khud ki takdeer ka...
Na raston ka pata tha...
Na kisi adrishya sanyog ka...
Badnaam hoti ja rahi thi yeh zindagi...
Na khud ka pata tha...
Na apne zameer ka...
Na kisi aashiyane ka pata tha....
Na khud ke bhavishya ka....

Har raat ki subah hoti thi...
Aur har subah ki raat...
Sapne silwaton pe dam tod diya karte the...
Chhup jaya karti thin andheron mein yeh jazbaat...

Fir aagman hua ek shakti ka...
Aankhon mein chamak, hothon pe muskaan...
chanchal hriday ek adhbhut divya insaan...

Pal bhar me badal daali usne yeh zindagi...
Karne laga toot kar main uski bandagi....

Mujh jaise chhote insaan ko bhi usne kitna bada bana daala...
Mere har ek sapne ko apna keh apna bana daala...

Bhavisya uske sang kitna sukhmai lagta hai..
Uski kahi har wo baatein kaano ko kitna anandmai lagta hai...

Abhaga hun main apne rab se usey  maang na main paya...
Kayar hun main apne taqdeer se usey chheen na main paya...

Haar gaya hun khud se main yudhh karte karte...
Thak gaya hun main is visam paristhiti se ladte ladte...

"Wo" na hogi to kaise jiyunga main yeh zindagi...
"Yeh" na honge to kiski karunga main bandagi...

Aaj maine khud ka ek hissa kho diya hai...
Us haseen khwab se, na chah kar bhi, mukh mod liya hai...

Maaf kar de e-swapn pari...main saath na nibha paya...
Bhawishya ki un khubsurat galiyaaron se tujhko na laa paya...

Nikalti Hai dil se dua.. Khushiyan chumengi tera daaman..
Hum na rahe toh na sahi... Phool he phool honge tere aangan...

Jaate jaate ek baat tujhse main kehta hun...
Tu hai ibaadat meri...beintehaah tujhse main mohabbat karta hun...

                                                                                                                        Anjani Roshan

Yeh kaun si ghadi hai aaj…




Yeh kaun si ghadi hai aaj…
Jahan man mein ek anokhi sfurti bhi hai aur khamoshi bhi…
Naye raste pe chalne ki khushi bhi hai aur apne sahyogiyon se bichhadne ka dukh bhi…
Ek naye adhyay ke shuru hone ka ehsas bhi hai....
Aur un haseen lamhon ke khatam hone ka aabhaas bhi…
Yeh kaun si ghadi hai aaj … 
Jahan kisi ke paas aane ki chahat bhi hai aur kisi se door jane ka ghum bhi…

Shikhar ko chhuna hai agar to badhna he hoga… 
Manzil ko pana hai agar to chalna he hoga…
Kathin raahein ho ya fir dhundla saahil… 
Buland hai gar hausla to adig rehna  he hoga…
Meet jo aaj hain wo kal bhi rahenge… 
Kaliyan jo aaj hain wo kal bhi khilenge…
Fir agar aashiyana badal jaye to kya…rehna to hoga… 
Geet badal jayein to kya sun-na to hoga…

Yeh kaun si ghadi hai aaj… 
 Jahan hansne ki lalsa bhi hai aur rone ka man bhi…..
Yeh kaun si ghadi hai aaj...
jahan jane ki  aarzoo bhi hai aur rukne ka man bhi….
Yeh kaun si ghadi hai aaj.....                                        
                                                                                                                    Anjani Roshan