Saturday 2 March 2013

Aap he mein rab hain mere, aap he mere bhagwan hain..



Aap meri har khushi hain..aap meri jaan hain..
aap se he yeh zindagi hai...aap he  pehchaan hain...
aap se  ummeedein hai meri...aap he samadhan hain...
aap hain to saasein hain yeh...aap he armaan hain..

Rota tha jab bachpan mein main, kuch khilaune dekh kar...
hota tha rusth ladakpan mein main, kuch khilaune tod kar...
aapne har waqt mujhpe aseem sneh failaaya tha...
aapse he har wo waajib khushiyan maine paya tha...
aap meri unnati hain aap mera gyan hain...
aap hain wajood meri aap he pehchaan hain...

Aapne khud pe sitam kar, mujhko posa pyaar se...
khushiyan bhari zindagi dee, jiya main aaram se...
aap meri samvedna hain aap he samman hai...
aap hain aaghaz meri aap he anjaam hain...

Aakhri fariyad hai bas, mujhko papa aapse...
Sabse jyada hai jarurat, mujhko papa aapki..
aap agar jo saath hon mere, jeet lunga sara jahan...
na jhukunga na rukunga...badhta jaunga wahan...
aapse hai jeet meri...aapse he utthan hai...
aap he mein rab hain mere....aap he mere bhagwan hain..
                                                                                                                      Anjani Roshan

No comments:

Post a Comment