Saturday 2 March 2013

Dil ki gehraiyon se chaha hai tujhe...

Dil ki gehraiyon se chaha hai tujhe...
rab ki parchhaiyon se maanga hai tujhe...
zindagi ki gustakhiyon se chheena hai tujhe...
kismat ki ladaiyon se paya hai tujhe... ............

Tu hai toh yeh jeevan hai...
Tu hai to yeh dhadkan hai...
Tu hai to yeh saasein hain...
Tu hai toh yeh bandhan hai....

Ehsaas bhi tu...
Armaan bhi tu...
Khushiyan bhi tu...
Bhagwan bhi tu......
Tujhpe har kuch bas ab arpan hai...
Tujh sang he fir yeh to jeevan hai......

Aastha hogi vishwas hoga...
Har pal ik naya aaghaz hoga...
Zindagi apne sapno ka darpan hoga...
Ek dusre mein kho kar samarpan hoga....
Yeh zameen apni hogi wo aasmaan apna hoga...
Yeh duniya apni hogi...wo daastaan apna hoga....

Kismat bhi tu...
Jaan bhi tu........
Mujh mein basi bhagwan bhi tu...
Shohrat bhi tu..............................
Gumaan bhi tu...............................
Mere mukaddar ki pehchaan bhi tu...

Tere khwabon ka ek jahan hoga...
Jahan mere jazbaaton ka  makaan hoga...

Shikhar ki uchhaiyon pe dekha hai tujhe...
Samandar ki gehraiyon mein dhunda hai tujhe...
Har waqt har lamha chaha hai tujhe...................
Khud ko bhulakar kahin.. fir paya hai tujhe...
                                                                                                                         Anjani Roshan

No comments:

Post a Comment