Wednesday 6 March 2013

DIL KYA KARE


Mukaddar mein likhi ho khalish jinke,unke aashiyaano mein log nahi baste…

Armaano ki jahan chita jali ho…wahan aksar khushiyon ke fool  nahi khilte…

Basti hain sirf tanhaiyaan aur ranjo-ghum… 

jahan sirf dard ka gumaan hota hai aur reh jati  hain yeh aankhein num..


Roobaroo ho kar koi aapse jab ajnabi ho jaye… 

hasti muskuraati zindagani jab yun hi ruthne lag jaye...

Jab jeene ki bhi koi tamanna na ho… marne ka bhi na ho koi ghum…. 

jab hasne ki bhi koi aarzoo na ho bas rote rahe aksar  yeh man….

fir rota hua koi yun he chhor jaye….to yeh dil kya kare….

tadapta hua tumhe chhor jaye to yeh dil kya kare…




 


Sapne koi tumko dikha kar jab neend se jagaye,

Soti surmai ankhiyon ko jab haqiqat se waakif karaye…

Jab aankhon ke saamne dhoop he dhoop aa jaye… 

Jab khwabon  ke sare rang unmukt gagan mein ud jaaye…

Fir sisakta hua koi yun hi chhor jaye to yeh dil kya kare… 

khule aankhon se koi roshni  le jaye to yeh dil kya kare…


Aapka hokar bhi koi aapse jab aapka na ho paye, 

jab koi har baat pe aapko begano sa ehsas dilaye…

Jiske liye aapne chhori ho yeh puri duniya…

Jiske liye yeh rooh bhi ab kahin bekal hai na….

Fir gira kar koi yun hi chalta chala jaye to yeh dil kya kare… 

Dard mein bhi jab yeh lab muskuraye to yeh dil kya kare...


Mukkadar mein likhi ho tapish jinke, unke dil mom ke hua nahi karte…

Jazbaaton ki jahan arthi uthi ho…wahan aksar khushiyon ke fool khila nahi karte…


 Reh jati  hain bas viraniyaan aur ranjo-ghum… 

jahan sirf barbaadi ka tamasha hota hai aur reh jati  hain yeh aankhein num...

2 comments: